Saturday, 13 September 2014

WOH MERA HOJAE


sab mujhy hi kehty hain k too usay bhool ja
koi usay kiyun nahin kehta k woh mera ho jay

TU NE JESA KAR DIYA HY


Ab aksar ayeny may apna chera dhondta hayn
Hum esy tu ny thy tu ny jesa kar diya hy

ROOH KI GEHRAAYI


Mumkin hai palat kar main chala aaon safar se,
Woh naam tou ley rooh ki gehraayi se mera..


BE-NAQAAB


Kaajal, Aankhain, Zulfain, Jhumke, Chehra, Bindiya,
Haaye Dil Haar Gaye Hum Tujhe Be-Naqaab Dekh Kar…!

LAUT AOO TUM


Is se pehle ke mujh ko sabbar aa jaye,
Kitna acha ho ke laut aao tum..

Monday, 8 September 2014

ZABT KI AB ZAKAT WAJIB HAI


Dard mene kamaa liye kaafi,
Zabt ki abb zakaat wajib hai..

NAHIN AESSA NAHII


Jab kabhi khud ko yeh samjhaon ke tu mera nahin,
Mujh me koi cheekh uthta hai, nahin aesa nahin..

CHEHRA BATA RAHA THA


Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard,
Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..

NA KOI ZAAT TERI ZAAT K BAAD


Itni mazbooti se viraanon ke dar band kiye,
Dil mein utri na koi zaat teri zaat ke baad...

BEETAY HUE WAQT


Tum bhi ho beetay huye waqt ki maanind, hu-bahuu,
Tum ne bhi yaad ana hai, aana to naheen hai.

TUM HAWALAA HOO


Main taluq hoon toot jaaon ga,
Tum hawaala ho yaad aao ge..

Sunday, 7 September 2014

CHORIYAN


Thami hai kalaai un ki ab na choote gi mujh se,
Toot’ti hain choorriyan to tootten ab meri balaa se..!!

TU HUMSAFAR HO..


Tujh se mila nahin hoon magar chahta hon main,
Tu humsafar ho, aur kaheen ka safar na ho..

TAREEKH-E-WAFA


Mujhe bhi yaad rakhna jo likho kabi tareekh wafaa ki,
Mene bhi lutaaya hai mohabbat main sakoon apna..

KHAT KI ARZOO


Un ke khat ki arzu hai, un ki aamad ka khayal,
Kiss qadar phaila hai karobaar-e-intezaar..


Friday, 5 September 2014

EHBAB K HONTON KI HANSI


Halaat pareshan to guzar jaayen ge ik roz,
Ehbaab ke honton ki hansi yaad rahe gi..

Thursday, 4 September 2014

GARMI MEI BARISH


Mujh ko zaroorat hai teri,
Sakht garmi mein barish ki tarah..

MERA KHULAASA BSS TU


Teri kahani saari duniya,
Mera kHulaasa* bass ek tu..

WAQT


Waqt ka pata chalta nahin apnon ke sath,
Apnon ka pata chal jata hai waqt ke sath..

CHANDNI


Kion hamaisha kesi ki talaash hoti hai
Yun dil ko kesi ki aas hoti hai
.
Chand ko dekho wo bhi tanha hai
Phir bhi chandni se roshan uski raat hoti hai

AP KO NA HO YAQEEN


Aap ko bhool jawo'n umar guzarne ke baat hai
Aap ko na ho yaqeen, yai owr baat hai
.
Jab rahegi saans tab tak rahogy yaad
Yai saans toot jaye tu owr baat hai

RAG-E-JAAN


Wo tu khushbo hai hawawon mai bikhar jayega
Masla tu phool ka hai, phool kidhar jayega
.
Hum tu samjhe the ek zakham hai bhar jayega
Kia khabar thi ke rag-e-jaan mai utar jayega

TUM SA PYARA NAHII


Hansna hamara kesi ko gawar nahi hota
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota
.
Melty hain boht log es tanga zindagi mai
Par har koi tum sa pyara nahi hota

TERI SAANSAIN


Hum wo nahi Jo tum ko gum mai chor daingy
Hum wo nahi Jo tum sai naata chor daingy
.
Hum wo hain Jo agar tairi saansain
Ruk Jaye tu tujh se apni saansain jor daingy

KHUSH NASEEB


Dil ke reshty bhi ajeeb hoty hain
Door reh kar bhi qareeb hoty hain
.
Jo log apko roz daikthy hain
Wo log kitny khush-naseeb hoty hain


MERI KAYENAT HO TUM


Dil chahta hai tum se pyari si baat ho
Khamosh train ho, lambi raat ho
Phir un se raat bhar yahi mairi baat ho
Tum hi zindagi, tum hi mairi kayenat ho

NEEND ATI NAHII


Kitni jaldi yai mulaqaat guzar jati hai
Pyas bujthi nai ke barsaat guzar jati hai
.
Apni yaadon se kaho ke yun yaad na ayain
Neend ati nahi owr raat guzar jati hai

DIL


Dil torna hamari aadat nahi
Dil hum kesi ka dukhaty nahi
.
Bharosa rakhna mairi wafawon par
Dil mai basa ke hum kesi ko bhulaty nahi

DIL SAWAL KARTA HAI


Manzelain bhi uski then, rasta bhi uska tha
Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha
Sath sath chalney ki soch bhi uski thi
Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha
Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai
Log tO usi ke tHy, kia Khuda bhi uska tha..


DUAA


Zindagi ek chahat ka silsila hai
Koi mel gia tu koi bechar gia
.
Jissy manga ta duawon mai
Wo kesi owr ko bina mangy mel gia

Tuesday, 2 September 2014

WO LAMHAA


Titli ki tarah jo Urr chuka hai,,,
Wo lamha kahaN se khoj laaauN,

INKAAR KI SI LAZT


Inkaar Ki C Lazt , Iqrar Mein Kahan...
Barhta Hai Ishq Ghalib Un Ki Nahi Nahi Se....

MOHABAT MUKADAR HAI


Mohobat Mukadar He ek Khwab Nahi.....
Ye Wo Ada He Jisme Sab Kamyab Nahi......
Jinhe Panah Mili Unhe ungliyo Par Gin Lo...
Magar Jo Fanaah Hue Unka Koi Hisab Nahi....

RIYASAT-E-DIL


*""Jee To Chahta Hai Ke Hum Bhi Le Jayen Long March...*

*""Riyasat-E-Dil Ko Kisi Ne Boht Sata Rakha Hai...*

MOHABAT NE INTEHA KARDI


*__BarY SaKooN SaY RuKhSaT To Kar DiYa UsS Ko__*
+
*__PHir UsS K Baad MuHaBBaT Ne InTeHa Kar Di__*

LA- JAWAB MOHABAT


*""Aadtein Mukhtlif Hain Hamari Zamaney Walon se...*

*"""Muhabbat Kam Pr La-Jawab Karte Hain...*

TERI YADEEIN


*""Meri Her Sans Se Wabasta Rahengi Teri Yaadein...*
+
*""Beshak Tere Khayalon Mein Mera Naam Tak Na Ho...*



DIL KI ZIID


Bs ak shakhs mere dil ki ziid hai
Na us jesa chahye na us k siwa chahye..



MOHABAT KA DHARNA


Wo hamari mohabat ko tarjeeh hi nae deety 
Lagta hai ek dharna hamein bhi deena pare gaa




SOCHTI HON TUMHY



Tum .. soch bhi nae sakty
Main kitna sochti hon Tumhai 




UJAR GAYE


Ujarr gaye na..? sar se paon Tak.?
Aur karo 
Be parwah logon se BE Panah Muhabat ...


KHABAR


AB OR JINE KI SURAT NAZAR NAE ATI
KISI TARHN BHI ACHI KHABAR NAZAR NAE ATI
USI KI AAS MEIN HAI DIL KA HUJRA TAREEK
WO ROSHNI JO KBI MERE GHR MEIN NAE ATI


 

HUSSN WALY


HUSSN WALY TO LAKH MILTY HAIN..
KOI DIL WALA AJ TK NA MILAA..

TANHAN


Us ne is kadar tanha kar diya mujhy ko
Ke ab kise ko bhe tanha dekha nae jata..

KHAYALO ME TERE


Har Waqt dooba reHta  hon khaYalon me tere
Pukaarta koi or hai Awaz Teri suNayi dEti Hai


BARISH


AE barish zara tham k baras
jab meraa yar aajaye to jam k baras 
phele na baras k wo aa na sake 
phr itna baras k wo jaa na sake <3


POETRY


Kis tarhan khatam karen us se apne rishta..!!
Jin ko sirf sochty hain to sari duniya ko bhool jaty hain ..!!

POETRY


Usy kehna k dil ki zid bann gaye ho tum
Warna in ankho ne bht haseen log dekhy hain